Patriotic Songs Lyrics of India's National Song, National Anthem, and Movies for Kids. Below are the all lyrics of the songs with correct spelling and pronunciation. The reason for putting all the Patriotic Songs Lyrics in one place is to help kids who are participating in school or societal functions.
The Patriotic Songs can be sung on Independence Day or Republic Day Functions.
Vande Mataram
Vande Mataram, vande mataram
Sujala sufala malayaja-shitalaam
Shashya-shyaamala mataram
Vande Mataram
Shubhra-jyotsna-pulakita yaamini
Phulakusumati-drumadala shobhini
Suhaasini sumadhur bhaashini
Sukhada varada mataram
Vande Mataram
Aao Bachcho Tumhe Dikhayen
Aao Bachcho Tumhe Dikhaye Jhanki Hindustan Ki
Iss Mitti Se Tilak Karo Yeh Dharti Hai Balidan Ki
Vande Mataram Vande Mataram Vande Mataram Vande Mataram
Aao Bachcho Tumhe Dikhaye Jhanki Hindustan Ki
Is Mitti Se Tilak Karo Yeh Dharti Hai Balidan Ki
Vande Mataram Vande Mataram Vande Mataram Vande Mataram
Uttar Me Rakhavalee Karata Parvataraj Virat Hai
Dakshin Me Charano Ko Dhota Sagar Kaa Samrat Hai
Jamuna Jee Ke Tat Ko Dekho Ganga Kaa Yeh Ghat Hai
Bat Bat Pe Hat Hat Me Yaha Nirala Thath Hai
Dekho Yeh Tasvire Apane Gaurav Kee Abhiman Kee
Iss Mittee Se Tilak Karo Yeh Dharatee Hai Balidan Kee
Vande Mataram Vande Mataram Vande Mataram Vande Mataram
Saare Jahan Se Achha Hindustan Hamara
Saare Jahaan Se Achcha
Hindostaan Hamaraa Hamaraa
Saare Jahaan Se Achcha
Hindostaan Hamaraa Hamaraa
Hum BulBulain Hai Iss Ki,
Ye Gulsitan Hamaraa Hamaraa
Parbat Ho Sabse Unchaa
Hum saya aasman kaa
Parbat Ho Sabse Unchaa
Hum saya aasman kaa
Vo Santaree Hamaraa,
vo Paaswaan hamaraa hamaraa
Godee mein kheltee Hain
Is kee hazaaron nadiya
Gulshan Hai Jinke dam se,
Rashk-e-janna hamaraa hamaraa
Mazhab nahin Sikhataa
Apas Mein Bayr Rakhnaa
Hindee Hai Hum (3 times)
Vatan hai
hindostaan hamaraa
Saare Jahaan Se Achcha
Hindostaan Hamaraa Hamaraa
Hum BulBulain Hai Iss Ki,
Ye Gulsitan Hamaraa Hamaraa
Saare Jahaan Se Achcha
Hindostaan Hamaraa Hamaraa
Saare Jahaan Se Achcha
Aye Mere Watan Ke Logo
Aye mere vatan ke logon, tum khub laga lo naara
Yeh shubh din hai ham sab kaa, lahara lo tiranga pyaara
Par mat bhulo sima paar, viron ne hai praan ganvaaye
Kuchh yaad unhe bhee kar lo – (2 times repeat)
Jo laut ke ghar naa aaye – (2 times repeat)
Aye mere watan ke logon, jara aankh me bhar lo paanee
Jo shahid huye hain unakee, jara yaad karo kurbaanee
Jab ghaayal huwa himaalay, khatare me padee aajaadee
Jab tak thee saans lade woh, phir apni laash bichha dee
Sangin pe dhar kar maatha, so gaye amar balidaanee
Jo shahid…
Jab desh me thee diwali, woh khel rahe the holee
Jab ham baithe the gharo me, woh jhel rahe the golee
The dhanya javaan woh aapane, thee dhanya woh unakee javaanee
Jo shahid…K
sikh koyee jat maratha, koyee gurakha koyee madaraasee
Sarahad pe maranevala, har veer tha bhaaratavaasee
Jo khun gira parvat par, woh khun tha hindustani
Jo shahid…
Thee khun se lath path kaaya, phir bhee banduk uthaake
Das das ko ek ne maara, phir gir gaye hosh ganvaake
Jab ant samay aaya toh, kah gaye ke abb marate hain
Khush rahana desh ke pyaaro, abb ham toh safar karate hain
Kya log the woh divaane, kya log the woh abhimaanee
Jo shahid…
Tum bhul naa jaao unako, iss liye kahee yeh kahaanee
Jo shahid…
Jay hind, jay hind kee sena – (2 times repeat)
Jay hind, jay hind, jay hind
Desh Mere
Oh Desh Mere
Teri Shan Pe Sadke
Koyi Dhan Hai Kya
Teri Dhool Se Badh KeTeri Dhoop Se Raushan
Teri Hawa Pe Jinda
Tu Baag Hai Mera
Main Tera ParindaHai Arz Yeh Deewane Ki
Jahan Bhor Suhani Dekhi
Ik Roz Wahin Meri Sham HoKabhi Yaad Kare Jo Zamana
Maati Pe Mar Mit Jaana
Zikar Mein Shamil Mera Naam HoOh Desh Mere
Teri Shan Pe Sadke
Koyi Dhan Hai Kya
Teri Dhool Se Badh KeTeri Dhoop Se Raushan
Teri Hawa Pe Jinda
Tu Baag Hai Mera
Main Tera ParindaAanchal Tera Rahe Maa
Rang Biranga
Oh Uncha Aasman Se
Ho Tera TirangaJeene Ki Izazat Dede
Ya Hukum Shahadat Dede
Manjoor Humein Jo Bhi Tu ChuneResham Ka Ho Madhushala
Ya Kafan Sipahi Wala
Odhenge Hum Jo Bhi Tu BooneOh Desh Mere
Teri Shan Pe Sadke
Koyi Dhan Hai Kya
Teri Dhool Se Badh KeTeri Dhoop Se Raushan
Teri Hawa Pe Jinda
Tu Baag Hai Mera
Main Tera Parinda
Hum Honge Kamiyaab
Hum Honge Kamyab, (3 times), Ek Din
Oh, Man Mein Hai Visvas, Pura Hai Visvas
Hum Honge Kamyab, Ek Din
Hum Chalenge Sath Sath,
Dale Hathon Mein Hath
Hum Chalenge Sath Sath, Ek Din
Oh, Man Mein Hai Visvas, Pura Hai Visvas
hum chalenge sath sath, ek din
Nahin Dar Kisika Aaj, Nahin-Hai bhay kisika aaj
nahin dar kisika aaj, e din
Oh, Man Mein Hai Visvas, Pura Hai Visvas
nahin dar kisika aaj, e din
Hogi Shanti charon or, hogi shanti charon or, ( 2 times), or, ek din
Oh, Man Mein Hai Visvas, Pura Hai Visvas
Hum Honge Kamyab, Ek Din
Nanha Munna Raahi Hoon
Nanha munna rahi hoon, desh ka sipahi hoon
Bolo mere sang, Jai Hind, Jai Hind, Jai Hind
Jai Hind, Jai Hind
Nanha munna rahi hoon, desh ka sipahi hoon
Bolo mere sang, Jai Hind, Jai Hind, Jai Hind
Jai Hind, Jai Hind
Raste pe chalunga na dar-dar ke
Chahe mujhe jeena pade mar-mar ke
Manzil se pehle na lunga kahin dam
Aage hi aage badhaunga kadam
Dahine baen dahine baen, tham!
Nanha munna rahi hoon……
Dhoop mein pasina me bahauga jahan
Hare-bhare khet lahraenge vahan
Dharti pe paake na paayenge janam
Aage hi aage badhaunga kadam
Dahine baen dahine baaen, tham!
Nanha munna rahi hoon……
Naya hai zamana meri nai hai dagar
Desh ko banaunga mashino ka nagar
Bharat kisi se rahega nahi kam
Aage hi aage badhaunga kadam
Dahine baen dahine baen, tham!
Nanha munna rahi hoon……
Bada ho ke desh ka sahara banoongaa
Duniya ki aankhon ka taara banoongaa
Rakhunga uncha tiranga paracham
Aage hi aage badhaunga kadam
Dahine baen dahine baen, tham!
Nanha munna rahi hoon……
Shanti ki nagari hai mera ye vatan
Sabako sikhaunga me pyaar ka chalan
Duniya mein girane na dunga kahin bam
Aage hi aage badhaunga kadam
Dahine baen dahine baen, tham!
Nanha Munna Rahi Hoon
Jana Gana Mana
Jana Gana Mana Adhi Naayaka Jaya Hai!
Bhaarat Bhaagya Vidhaata
Punjab, Sindh, Gujarat, Maratha,
Dravid, Utkala, Bangaa.
Vindhya, Himachala, Yamuna, Ganga,
Uchhala jaladhi taranga.
Tava shubh naame jaage,
Tava shubh aashish maage,
Gahe tava jaya-gaatha.
Jana Gana Mana Adhi Naayaka Jaya Hai
Bhaarat Bhaagya Vidhaata
Jaya he! ( 3 times)
Jaya Jaya Jaya Jaya hai!
No comments:
Post a Comment